Book details

Jatakaparijata (Vol.2)

Gopesh Kumar Ojha

Tags : vedic astrology, koshthaka, janmkundali,

Categories : Vedic Astrology,


 (Romanised in English): Is bhag ke adhyayon ka vivran is prakar hai-Navam Adhyay main mandifal ka vistarpurvak vernan kiya gaya hai.  Dasham adhyay main ashtakaverga ka nirupan hai.  Jis ashtakaverga ke nirupan main jyotirvidon ne pustake bhar di hai usi ka sar ismain milega.  Kis jataka ka kaun-sa vesh kaisa jayega-iska is adhyay main vivechan kiya gaya hai.  Gyarah se pandrah adhyayon main bhavfal purnarupen kahe gaye hai. 

Solahven adhyay main striyon ki janmkundali ka spasht vivran hai sattrahvein adhyay main kalchakradasha samjhai gayee hai.  Antim atharehvein adhyay main dashafal ka vichar aur anterdasha ka vistrat vivran diya gaya hai.  Vishayvinyas saral evam sugam hai.  Sanskrit main mool shlok, hindi main saurabh-bhashya aur sthan 2 per chakra, koshthaka, kundaliyan aur talikayein bhi hai.